बुधवार, 7 नवंबर 2018

Diwali ka Mehatav


Aaj humare desh mai bahut sare garib bhuke peat sote hai .  tajub ki baat ye hai ki humare pass mandiron , masjidon , aur church jaise dharmic sthalon per chadane ke liye paise hote hai per kisi garib ka peat barne ke liye nhi hote /aaj humare desh me bahut sare aise log hai ( jaise designer neta , designer patrakar aur humare desh ke kuch budhijivi ) jo humare hi desh ke bare me bahut bura - bhala bolte hai  hum aise logon ko Twitter , facebook per follow bhi karte



Humare desh me vaise to bahut saare tyohhar manaye jate hain , per jo ronak  Diwali ki hoti hai vaise kisi tyohaar ki nhi hoti .  Diwali ek aisa paawan parav hai jo ek insaan ko dusre insaan se jodta hai , uski ejjat karna sikhata hai .  
Image result for diwali
Vaise main to aapko yeh bata sakti hun ki diwali kyu aur kab manai jati hai , per yeh to koi dhi school me padhne wala baccha apko bata dega .  Diwali ka mahatav humari zindagi mai bahut hai lekin ab hum iske mahetav ko , bhagwan Ram ko bhulte ja rhe hai . 


Hum sab vaise to Ramrajya chate hai per waha ke sanskar nhi apanana chate .  Ramrajya se mera matalb kisi ek dharm se nhi hai balki yeh veh ram hai jo sabke man me basate hai .  Ramrajya main ek - dusre ke dharm ki ejjat ki jati thi , striyon ko pura samaan diya jata tha , ek - dusre ka khyal rakha jata tha , garrib kabhi bhuke paet nhi sote the aur sabse badi bat vahan ke log apne rajya ki bahut ejjat karte the per aaj hum ek dusre ke dharamon me kamiya nikalte hai , uska majak udate hai , striyon ka apmaan krne se be nhi hichakte hai aur ek - dusre ka khayal rakhna to bahut dur ki baat hai .

hume samjhna hoga ki burai un me nhi hum jaise logon me hai jo unki vichardhaara se bhaut prabhavit ho jate hai , une apne ser aankhon per bitha lete hai .  unnke liye hum kuch bhi karne ke liiye taiyaar ho jate hai . Agar hume kuch karna hi hai to hum un jawano ke liye  karen jo  humare liye border per sahid ho jate hai , hum to unke pariwaar ke liye bhi kuch nhi karte kyuki hum karna hi nhi chate 

Aakhir me mai sirf itna hi khungi ki humari diwali khushiyon bhari tab hi ban payegi jab humare dil me sahi maino me Ram ji aaker busenge 

meri taraf se aap sabko happy diwali ye diwali apke aur apke parivaar ke liye mangalmay ho ..... 

      Image result for diwali

2 टिप्‍पणियां: